Google plus shutting down 

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger


Friends agar ap Blogger use karte hai to apke blogger me bhi ek msg zaroor show ho raha hoga ki Google Plus shutting down ji ha dosto Google Plus band ho raha hai 

or Blogger hamey Jo Google Plus se related Options deta hai wo remove ho jayege 

Friends agar aap Blogger ki Defaults theme use karte tab to aap ke liye koi tension ki baat nahi hai 
par agar aap custom theme use karte hai to apko manually Google Plus se Related options ko Remove karna hoga warna kahi na kahi apke Blog ko issey nuksaan zaroor hoga

main yaha apko aisi kuch settings bataunga jisse aap apne blogger se Google Plus ke options ko apne header social media widget or footer social media widget se easily remove kar sakte hai

saath hi saath apke Blog Article ke last me jo Share buttons hotey hai waha se bhi apko Google plus ke option ko kaise Remove karna hai ye main apko Step by Step bataunga 



Remove immediately google plus share button from blogger


agar aap Blogger ko opern karte hongey to apko uske top bar me ek message show ho raha hoga

Ye specially unlogo ke blogger account me dikhta hoga jinhone Custom Template ko use kia hai

Kuch aise Blogger Template hotey hai jin ke Side Bar me or neechey footer me apko share ka button milega or jab aap koi bhi post open karte hai to post ke neechey share button hotey hai

jisme apko Google+ ka bhi share button milega to friends main apko bataunga ki apko ye kaise Remove karna hai apne Blogger Template se or apko aisi settings bataunga jo apke blogger me honi bahut zaruri hai.



Sbse phle main apko bataunga ki kaise apko top social widgets me se  Google plus ke button ko Delete karna hai
   
Friends iske liye apko apne Blogger Account me jana hoga

Layout me jana hoga yaha upper apko  Top Social Widget ke naam se ek option milega apko simply iske Edit ke button par click krna hai or list se Google plus ke pas waley Delete par click kar ke usko Delete kar dena hai

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger



same isi trha apko Footer Menu se bhi google plus ke option ko Delete karna hai


Remove google plus share button

Method 1. 

Ab main apko bataunga ki kaise aap Google plus ke share button ko Remove kar saktey hai Jo apke Article ke neechey Google plus share button aata hai usko

Apko Blogger me jana hai theme me jana hai uske baad Edit HTML par click karna hai

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger


Fir CTRL+F press karna hai or type karna hai plus.google or enter ke button ko dabana hai
Uske baad jaha jaha plus.google coding me use hua hoga wo highlight ho jyega 

Ab jitney bhi word highlight huye hai apko usme aisa word search karna hai jiske aas paas Share likha hua ho

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger


ab apko is poore Tag ko phle cut karna hai fir New Tab me article ko open krke dekhna hai ki Google plus share button remove hua ya nhi agar remove nahi hua to apko us coding ko waise hi paste kar dena hai ya keyboard me CTRL + Z ko press karna hai

or dusre plus.google ke Tag  ko isi tarha search krke delete karna hai

dhiyan rahey ki plus.google ka jo link aap search kar rahey hai uske pas Share likha hua ho                                                  


Method 2. 

Friends maine Method 1. ko kuch or themes me try kia but wo waha kaam nahi kia isliye shayad blogger se Tag Delete karne me koi problem arahi thi isliye maine 

Method 2. use kia iske liye apko simply Blogger me jana hai 

fir Theme me

or fir Edit HTML me

iske baad apko yaha jis jagha coding likhi hai uspar click karna hai or coding ko Select karke copy karna hai 

copy or Select ke liye keyboard me CTRL + A fir CTRL + C ko press karna hai 

fir ap is coding ko Notepad++ me paste karde 

or keyboard me CTRL+F press karey or plus.google likh kar enter press karey


Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger


jitne bhi word highlight honge unme apko aisa tag search karna hai jiske link me plus.google ke aas pas Share bhi likha ho ab apko us poore tag ko select karke delete kardena hai 

or baki coding ko CTRL+A  or CTRL+S press krke select all or save karna hai fir
CTRL+C press karke is coding ko copy kar ke wapas blogger me paste kardena hai 

and save theme par click par kardena hai


Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger




ab aap apna article dekhege to waha se google plus share button remove ho chuka hoga.


Importnt settings for Blogger

 jaisa ki maine apse kaha tha main apko blogger ki kuch aisi settings bataunga jiski help se aap apne blog se Google plus profile ko remove kar payege or Google plus comment option ko bhi remove kar payege

Setting 1. 

isme ham Posts, comments and sharing ki settings karenge iske liye simply Blogger me jaiaye

Settings → Posts, comments and sharing

ab apko who can comment? ke samne    ⃝Anyone ke option ko select karna hai 

uske neechey comment moderation ke samne  ⃝Always ke option ko select karke 

Save Settings par click par karna hai 

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger



Setting 2.

dusri setting apko User Settings me karni hai 

Settings → user settings → user profile  

Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger


user profile ke samne apko Blogger ka option milega apko usko select krke  save settings par click karna hai 


Switch to a Blogger par click karna hai 


Google plus shutting down | Remove immediately google plus button from Blogger

apna Name likhna hai or Continue to blogger par click karna hai



ab apke blogger se apka Google plus profile remove ho gaya hai


Friends main apke liye aise intresting blogger se related post laata rahta hu agar apko ye post useful lagtey hai to hamre blog ko subscribe krey or apne dosto ke sath share karey


fir milta hu apse ek or interesting article ke sath

Thank you...


Ye bhi pdhey