Blogger Ko use karna chahiye ya nahi karna chahiye, or karna Chahiye to kyo karna chahiye, nahi karna chahiye to kyo nahi karna chahiye, aksar hamarey Dimagh me aise hi sawaal uth te hai to is Aricle Frequently Asked Questions About Blogger by Blogfunia me ham aise hi kuch sawalo ke jawab dekhege.



Main Aasha karta hu ki is Blogger se judey sawalo ke jawab dene me ye article apki zaroor help karega.

1. How to fix home page thumbnail issue in Blogger?

Mere Blog " Blogfunia.com " me Kuch din pahle ye problem aai thi maine bahut try kia bahut si YouTube Videos dekhi, kisi ne kuch solution bataya kisi ne kuch bahut forums par jakar poocha lekin meri problem solve nahi hui ek main lagbhag 3 din se koshish kar raha tha fir 4th day main raat bhar jaga is problem ko theek karne ke liye bahut experiment kiye tab jakar pata chala ki jo first image aap blog article me use kartey hai jisko thumbnail kahtey hai usko Orignal Size me rakhne se or Alt Text or Title Text na dene se ye Problem Solve hogai. 

agar aap Custom Theme hi use kartey hai to hi ye Problem apke blog me ayegi. 

ye tha iska solution ye waisa hi tha ki " Khoda Pahaad Or Nikli Chuhiyaa ". 


2. How To Change Blog Theme In Blogger?

Is ka Jawab main pahle hi apne ek article me de chuka hu iske liye aap is Article ko padh saktey hai.

3. How to earn money from the niche of daily routine as a blog?

Is niche me aap ke liye bahut si sambhnaye hai bahut ki scope hai. kyoki is niche me sabse pahle to apke pas kabhi bhi article likhne liye topics ki kami nahi hogi. aap lagbhag har roz hi kisi na kisi topic par article likh saktey hai. 

Benifits of Daily Routine Niche Blog


  1. aap lagbhag daily use me istemal honey wali sabhi cheezo ke reviews bhi likh saktey hai.
  2. aap Google Adsense se achi khasi kamai kar saktey hai. 
  3. aap Daily Routine ki problems ke upar bhi article likh saktey hai.
  4. aap daily use ki cheezo ke Sponsorships bhi le saktey hai.
  5. aap daily hacks par bhi articles likh saktey hai.

4. Which is best template for Blogspot? 

waise to bahut se Blogspot Template available hai jo ki aap khareed bhi saktey hai lekin main recomend klarunga ki aap blogger ka Default Template "Notable" use karey ye ek aisa templet hai jo ki bahut hi clean hai fast hai or is par Google Adsense ka approval bhi jaldi milta hai. Notable is the best Blogspot Template.

5. Best SEO Settings For Blogger How To Create A SEO Ready Blogspot Blog?

ye ek aisa Question hai jo lagbhag sabhi New Bloggers ke man me aata hoga. to apki help ke liye main is topic par phle hi Article likh chuka hu aap jakar usko padh saktey hai.



is article ko padhne ke baad apko apne is Question ka answer mil jayega.


6. What to use Blogger app for Blogger site to start blogging?

Waise Blogger ki app kaafi update ho chuki hai lekin abhi bhi agar main chahu ki apni blogging poori trha se app se hi karlu to shayad ye possible nahi. ha aap itna zaroor kar saktey hai ki apna content blogger app se likh le lekin usko sahi trha se edit or formating ke liye apko blogger ki website par hi aana hoga. Blogger interface itna zyada aasaan hai ki aap asaani se hi iske aadi ho jayege.

What to use Blogger app for Blogger site to start blogging? iske Jawab me apko bolunga ki blogger website hi zyada sahi rahegi apke liye jisme aap poori trha se har ek kaam kar payege. 



Agar aap Blogfunia par pahli baar aaye hai to hamse judey rahey apke pyar or support ki hamey bahut zarurat hai yahi hamara motivation hai.